Friday 2 August 2013

Mitti ko chunkar jeevan paya hai
Khak ko bun kar man paya hai
Khushi paayi hai paththaron mein
utsah mila hai muskurahaton mein
phir bhi apne aap ko akela hi paya hai.

dhoopon ki garmiyan ho
ho sheet ki thandi kirne
barishon ki lehre
badlon ki aankhon ki nami
dekh kar mann harshaya hai
phir bhi apne aap ko akela hi paya hai.

Anek mele har dil ke dekhe
anek khele is jag ke dekhe
zindagi ke rele samne se guzarte dekhe
apne aap ko phir bhi alela paya hai

Komal muscano mein sukh paya hai
dukh kisi ka apna banaya hai
kisi ki jeet mein apne mann ne bhi geet gaya hai
apne aap ko kyun phir akela hi paaya hai?

Sandhya jeevan ki aan padi
ujjwal savera dekha
dopahar ki garam hawa
ab andhere ke intezar mein
phir usi khak me kho jane ko
akelapan bulata hai.